Tuesday, 10 September 2013

Aag


God created us as "His best creation", contrary to that here we are fighting and spattering the blood of each other...

Khud ko insaan ne kya bana dala
Har taraf usne kohram macha dala
Dhoke-O-Fareb ke baadal ke tale
Khoon ka usne sailab baha dala

Gharon ko jalakar raakh bana dala
Maar kar logon ko kankal bana dala
bhagwan yeh dekh kar mayuus ho gaya
Insaan ne khud ko yeh kya bana dala

Ek din jab iska ehsaas ho gaya
Insaan tab khud se niraash ho gaya
Ruk gaya tab woh, thak haar kar
Apne gunahon se daaman jhaad kar

Sajde mein tha sir aur naam-e-Ilahi
Roya bahut ki tha ab khauf-e-Ilahi
Apni hi harkaton se ab sharmsar tha
Karne ko tauba ab woh beqarar tha...
  

Sunday, 1 September 2013

Dahej


Money can’t buy love ,they say. 
But what do you do when a whole society doesn’t care about love and sees marriage as just an income source? 
The malaise of dowry is deep-rooted within our country. Yet, we focus everyday on lives that are lost, not giving a second thought to lives that are broken.

Henna-stained hands smudged with tears of abandonment, fires for unfulfilled rituals dying in neglect and wails of a helpless family maligned despite being victims. These are all telltale signs of a crime scene: the death of humanity .
Since when did we start putting wealth over happiness?

Dulhan woh rote-rote chup-chap ho gayee
Jiski baraat paison ki khatir palat gayee

Haathon ki mehdi khud hi, tab khoon ban gayee
Jab haathon mein dahej ki, zanjeer pad gayee

Jis paalki mein baith kar, honi thi vidaai
laalach ke sholon mein, ab woh bhi jal gayee

Sunte hain ki laxmi ka, hai roop har naari
Afsos ki is laxmi par, sikkey hain pade bhari

Haathon ki choodiyan bhi, tab choor ho gayee
Jab maa Girvi rakhne ko, majboor ho gayee

Sindoor uski maang ka, ab raakh ho gaya
Jaise ki ladki hona bhi, ab paap ho gaya